PDA

View Full Version : Romantic shayari - my choice...


Nav
06-12-2009, 05:12 PM
Kaisay Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe
Kaisay Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe
Baahon Mein Apni Sama Lo Mujhey

Bin Tumhare Ek Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi
Tum Aakar Mujhi Se Chura Lo Mujhe

Zindgi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzray
Duniya Ke Ghamon Se Ab Chura Lo Mujhe

Meri Sab Se Gehri Khwahish Poori Ho
Tum Agar Paas Apnay Bula Lo Mujhe

Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai
Tumhari Hun main To Sambhaalo Mujhe

Najaanay Phir Kaisay Guzray Gi Zindgani
Agar Apnay Dil Se Kabhi Tum Nikalo Mujhe…!!!

Chehra mera tha, nigaahen us ki
Chehra mera tha, nigaahen us ki
Khaamoshii mein bhi vo baaten us ki

Mere chehre pe Ghazal likhti gayin
Sher kehti huyi aankhen us kii

Duur reh kar bhi sada rehti hai
Mujh ko thaame huye baahen us kii…

Teri khushboo ka pataa karti hai
Teri khushboo ka pataa karti hai
Mujh pe ehsaan havaa karti hai

Shab ki tanhayi mein ab to aksar
Guftaguu tujh se rahaa karti hai

Dil ko us raah pe chalna hi nahi.n
Jo mujhe tujh se judaa karti hai...!!!!

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kehne mein rahaa karti hai....

Dukh huya karta hai kuchh aur bayaa.n
Baat kuchh aur huya karti hai

Abr barse to inaayat us ki (abr – cloud)
Shaakh to sirf duaa karti hai…

Kuu-ba-kuu phail gayi baat shanaasaaii ki
Kuu-ba-kuu phail gayi baat shanaasaaii ki [shanaasaaii – friendship]
Us ne khushboo ki tarah meri paziiraaii ki [paziiraaii – acceptance]

Vo kahin bhi gayaa lautaa to mere paas aayaa
Bas yahi baat hai achhi mere harajaaii kii… !!

Teraa pehluu tere dil kii tarah aabaad rahe…
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhaaii ki… !!!!

Us ne jalatii huyi peshaani pe jo haath rakhaa [peshaani – forehead]
Rooh tak aa gayi taasiir masihaayi ki …